Sunday 10 November 2013

Shaheed ki Qismein

*Shaheed ki qismein:

*Shaheed ki 3 qismein hain. Haqiqi, Fiqhi aur Hukmi.

1. Shaheed Haqiqi wo hai Jo Allaah ki raah mein qatl kiya jaye.

2. Shaheed Fiqhi use kehte hain ke Jo aaqil, baaligh Musalman jispar ghusl farz na ho woh talwar, bandooq wa ghyara kisi hathyaar se zulm ke taur qatl kiya jaye aur us qatl ke sabab maal wajib na huwa ho, aur na zakhmi hone ke ba'd koi fayeda dunya se hasil kiya ho, aur na zindo ke Shar'ei ahkaam mein se koi hukm uspar sabit huwa ho.

Ya'ni paagal, na baligh, ya hayz aur nifaas (MC aur bachchhe ki paydayish ke ba'd ki napaki wali) auratein aur junub (jinpar ghusl farz ho) agar qatl kiye jayein to woh Shaheed Fiqhi nahi, aur agar qatl se maal wajib huwa ho, jayse ke laathi se maara gaya ya qatl-e khata ke maar raha tha shikaar ko aur lag gaya kisi musalman ko, ya zakhmi hone ke ba'd khaya piya, ilaj kiya, Namaz ka poora waqt hosh mein guzra aur woh namaz par qudrat rakhta tha, ya kisi baat ki wasiyyat ki wo Shaheed fiqhi nahi.

Magar Shaheed Fiqhi hone ka matlab ye nahi ke woh Shaheed hone ka sawaab bhi nahi payega balke iska matlab sirf itna hai ke usey ghusl diya jayega, jabke shaheed fiqhi ki Namaz-e Janaza to parhi jayegi magar usey ghusl nahi diya jayega wayse hi khoon ke sath dafn kar diya jayega, aur jo chizein kafan ki qism mein se nahi hongi wo utaar li jayengi, jayse Zirah, Topi aur Hathyaar waghayra, aur agar Sunnat Kafan mein koi kami hogi to use poora kiya jayega, Payjama nahi utara jayega aur saare kapre utaarkar........

....agle page par


No comments:

Post a Comment