Ghar, Ghoray aur Aurat ko manhoos kehna kaisa?
Farman-e-Ala Hazrat Imam e Ahle Sunnat Ahmed Raza Khan: Yeh sab mehaz Batil-w-Mardood khayal Hinduon k hain, Shariat Motahara main inki koi asal nahi, Sharaan Ghar ki nahoosat yeh hai k tang ho, parosi buray hoon, Ghoray ki nahoosat yeh hai k shareer ho, bad lagam ho, bad rakab ho, Aurat ki nahoosat yeh hai k bad zaban ho, bad rawayya ho, baqi woh khayal k Aurat k pehray se yeh huwa, fulan k pehray se yeh, yeh sab Batil aur Kafiron k khayal hain.
(Fatawa Rizvia, Jild 21, Page 219)
No comments:
Post a Comment